SEARCH RESULTS
Showing search results for "kashiida"
Sher MATCHES FOR "kashiida"
Sher
Dhalte suuraj kii tamaazat ne bikhar kar dekhaa
sar-kashiida miraa saayaa saf-e-ashjaar ke biich
Mohsin Naqvi
Sher
Ashar Najmi
Sher
qaasid ke aate aate KHat ik aur likh rakhuu.n
mai.n jaantaa huu.n jo vo likhe.nge javaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
maut ke darinde me.n ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhii kahte ho.n KHud-kushii ke baare me.n
Sarvat Husain
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
ek muddat se na qaasid hai na KHat hai na payaam
apne va.ade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
Jalal Manikpuri
Sher
paa.nv saakit ho ga.e 'sarvat' kisii ko dekh kar
ik kashish mahtaab jaisii chehra-e-dilbar me.n thii
Sarvat Husain
Sher
Ahmad Faraz
Sher
qaasid payaam-e-shauq ko denaa bahut na tuul
kahnaa faqat ye un se ki aa.nkhe.n taras ga.ii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
hujuum aisaa ki raahe.n nazar nahii.n aatii.n
nasiib aisaa ki ab tak to qaafila na hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
haal puuchhaa na kare haath milaayaa na kare
mai.n isii dhuup me.n KHush huu.n ko.ii saaya na kare
Kashif Husain Ghair
Sher
raabta laakh sahii qaafila-saalaar ke saath
ham ko chalnaa hai magar vaqt kii raftaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare