SEARCH RESULTS
Showing search results for "lamhe"
Sher MATCHES FOR "lamhe"
Sher
haath chhuuTe.n bhii to rishte nahii.n chho.Daa karte
vaqt kii shaaKH se lamhe nahii.n to.Daa karte
Gulzar
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
tere jalvo.n ne mujhe gher liyaa hai ai dost
ab to tanhaa.ii ke lamhe bhii hasii.n lagte hai.n
Seemab Akbarabadi
Sher
lamhe udaas udaas fazaa.e.n ghuTii ghuTii
duniyaa agar yahii hai to duniyaa se bach ke chal
Shakeel Badayuni
Sher
ye charaaG jaise lamhe kahii.n raa.egaa.n na jaa.e.n
ko.ii KHvaab dekh Daalo ko.ii inqilaab laa.o
Rahi Masoom Raza
Sher
aise lamhe bhii guzaare hai.n tirii furqat me.n
jab tirii yaad bhii is dil pe giraa.n guzrii hai
Saifuddin Saif
Sher
mausam-e-yaad yuu.n ujlat me.n na vaare jaa.e.n
ham vo lamhe hai.n jo fursat se guzaare jaa.e.n
Kuldeep Kumar
Sher
bajaa.e siine ke aa.nkho.n me.n dil dha.Daktaa hai
ye intizaar ke lamhe ajiib hote hai.n
Shahzada Gulrez
Sher
terii qurbat me.n guzaare hu.e kuchh lamhe hai.n
dil ko tanhaa.ii kaa ehsaas dilaane vaale
Shahzad Ahmad
Sher
vo mere paa.nv ko chhuune jhukaa thaa jis lamhe
jo maa.ngtaa use detii amiir aisii thii
Parveen Shakir
Sher
saaf jazbo.n ke havaale se to Gam hai.n lekin
ek lamhe kii KHushii ek sadii rahtii hai
Zafar Imam
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
ek lamhe me.n kaTaa hai muddato.n kaa faasla
mai.n abhii aayaa huu.n tasviire.n puraanii dekh kar
Shahzad Ahmad
Sher
shabaab naam hai us jaa.n-navaaz lamhe kaa
jab aadmii ko ye mahsuus ho javaa.n huu.n mai.n
Akhtar Ansari
Sher
us kaa javaab ek hii lamhe me.n KHatm thaa
phir bhii mire savaal kaa haq der tak rahaa
Bekal Utsahi
Sher
ko.ii puraanaa KHat kuchh bhuulii-bisrii yaad
zaKHmo.n par vo lamhe marham hote hai.n