SEARCH RESULTS
Showing search results for "mard-e-musalmaa.n"
Sher MATCHES FOR "mard-e-musalmaa.n"
Sher
in buto.n ne mujh ko be-KHud kis qadar dhoke diye
siidhaa-saada jaan kar mard-e-musalmaa.n dekh kar
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
marja.a-e-gabr-o-musalmaa.n hai vo but naam-e-KHudaa
bhejte hai.n use hinduu o musalmaa.n kaaGaz
Maatam Fazl Mohammad
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
piir-e-muGaa.n ke paas vo daaruu hai jis se 'zauq'
naamard mard mard-e-javaa.n-mard ho gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
dil kii kuduurate.n agar insaa.n se duur ho.n
saare nifaaq gabr o musalmaa.n se duur ho.n
Haidar Ali Aatish
Sher
dilo.n me.n gabr-o-musalmaa.n zaraa KHayaal kare.n
KHudaa ke vaaste qisse kaa infisaal kare.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kaise bhuule hu.e hai.n gabr o musalmaa.n dono.n
dair me.n but hai na ka.abe me.n KHudaa rakkhaa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kuucha-e-yaar me.n ho raushnii apne dam kii
ka.aba o dair kare.n gabr o musalmaa.n aabaad
Haidar Ali Aatish
Sher
aurte.n kaam pe niklii thii.n badan ghar rakh kar
jism KHaalii jo nazar aa.e to mard aa baiThe
Farhat Ehsas
Sher
mard-e-darvesh huu.n takiya hai tavakkul meraa
KHarch har roz hai yaa.n aamad-e-baalaa.ii kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Aziz Faisal
Sher
ai mard-e-KHudaa ho tuu parastaar butaa.n kaa
maz.hab me.n mire kufr hai inkaar butaa.n kaa
Taban Abdul Hai
Sher
jab ki le zulf tirii mus.haf-e-ruKH kaa bosa
phir yahaa.n farq ho hinduu o musalmaan me.n kyaa
Shah Naseer
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
mulhid huu.n agar mai.n to bhalaa is se tumhe.n kyaa
mu.nh se ye suKHan gabr o musalmaa.n na nikaalo
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
piir-e-muGaa.n se ham ko ko.ii bair to nahii.n
tho.Daa saa iKHtilaaf hai mard-e-KHudaa ke saath
Abdul Hamid Adam
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
shaayad usii kaa zikr ho yaaro mai.n is liye
suntaa huu.n gosh-e-dil se har ik mard-o-zan kii baat