SEARCH RESULTS
Showing search results for "mariiz-e-ishq"
Sher MATCHES FOR "mariiz-e-ishq"
Sher
jism aisaa ghul gayaa hai mujh mariiz-e-ishq kaa
dekh kar kahte hai.n sab taaviiz hai baazuu nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
labo.n pe jaan hai ik dam kaa aur mehmaa.n hai
mariiz-e-ishq-o-mohabbat kaa tere haal ye hai
Mardan Ali Khan Rana
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
tuu jo talvaar se nahlaa.e lahuu me.n mujh ko
Gusl-e-sehhat hu.aa bhii ishq kii biimaarii se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
maraz-e-ishq jise ho use kyaa yaad rahe
na davaa yaad rahe aur na du.aa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
iisaa se davaa-e-maraz-e-ishq na hogii
haa.n un ko ko.ii Dhuu.nD ke le aa.e kahii.n se
Muztar Khairabadi
Sher
us maraz ko maraz-e-ishq kahaa karte hai.n
na davaa hotii hai jis kii na du.aa hotii hai
Shafiq Rizvi
Sher
baad-e-fanaa bhii hai maraz-e-ishq kaa asar
dekho ki rang zard hai mere Gubaar kaa
Mirza Raza Barq
Sher
tuKHm-e-raihaa.n khilaa tabiib mujhe
ya.anii huu.n mai.n mariiz-e-hazrat-e-KHaal