SEARCH RESULTS
Showing search results for "masruuf"
Sher MATCHES FOR "masruuf"
Sher
us ko bhii yaad karne kii fursat na thii mujhe
masruuf thaa mai.n kuchh bhii na karne ke baavajuud
Zafar Iqbal
Sher
masruuf hai.n kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaGaaz to kar lete hai.n jaarii nahii.n rakhte
Abbas Tabish
Sher
fursat me.n rahaa karte hai.n fursat se zyaada
masruuf hai.n ham log zaruurat se zyaada
Sultan Akhtar
Sher
ye sochnaa Galat hai ki tum par nazar nahii.n
masruuf ham bahut hai.n magar be-KHabar nahii.n
Aalok Shrivastav
Sher
Shahryar
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
Farhat Ehsas
Sher
masruuf ham bhii anjuman-aaraa.iyo.n me.n the
ghar jal rahaa thaa log tamaashaa.iyo.n me.n the
Asrar Zaidi
Sher
vo paas aane na paa.e ki aa.ii maut kii nii.nd
nasiib so ga.e masruuf-e-KHvaab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
us se kah do ki mujhe us se nahii.n milnaa hai
vo hai masruuf to be-kaar nahii.n huu.n mai.n bhii
Sarfaraz Khalid
Sher
Alam Khursheed
Sher
KHalid Malik Sahil
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa