SEARCH RESULTS
Showing search results for "mood"
Sher MATCHES FOR "mood"
Sher
Parveen Shakir
Sher
safar me.n ko.ii kisii ke liye Thahartaa nahii.n
na mu.D ke dekhaa kabhii saahilo.n ko dariyaa ne
Farigh Bukhari
Sher
mu.D ke dekhaa to hame.n chho.D ke jaatii thii hayaat
ham ne jaanaa thaa ko.ii bojh giraa hai sar se
Zahida Zaidi
Sher
chubhan ye piiTh me.n kaisii hai mu.D ke dekh to le
kahii.n ko.ii tujhe piichhe se dekhtaa hogaa
Sheen Kaaf Nizam
Sher
'vasiim' dekhnaa mu.D mu.D ke vo usii kii taraf
kisii ko chho.D ke jaanaa bhii to nahii.n aayaa
Waseem Barelvi
Sher
us kii aa.ankho.n me.n bhii kaajal phail rahaa hai
mai.n bhii mu.D ke jaate jaate dekh rahaa huu.n
Javed Akhtar
Sher
Aslam Aazad
Sher
Fatima Hasan
Sher
nahii.n hai mujh se ta'alluq ko.ii to aisaa kyuu.n
ki tuu ne mu.D ke faqat ik mujhii ko dekhaa kyuu.n
Shahryar
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
jaate jaate un kaa ruknaa aur mu.D kar dekhnaa
jaag uTThaa aah meraa dard-e-tanhaa.ii bahut
Lutf Harooni
Sher
aage kuchh ba.Dh kar milegii masjid-e-jaame 'riyaaz'
ik zaraa mu.D jaa.iyegaa mai-kade ke dar se aap
Riyaz Khairabadi
Sher
jo na ik baar bhii chalte hu.e mu.D ke dekhe.n
aisii maGruur tamannaa.o.n kaa piichhaa na karo
Zubair Rizvi
Sher
ja.ngalo.n me.n ko.ii piichhe se bulaa.e to 'muniir'
mu.D ke raste me.n kabhii us kii taraf mat dekho
Muneer Niyazi
Sher
jo manzil tak jaa ke aur kahii.n mu.D jaa.e
tum aise raste ke dukh se naa-vaaqif ho