SEARCH RESULTS
Showing search results for "mulkii"
Sher MATCHES FOR "mulkii"
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
us mulk kii sarhad ko ko.ii chhuu nahii.n saktaa
jis mulk kii sarhad kii nigahbaan hai.n aa.nkhe.n
Unknown
Sher
Unknown
Sher
ve suurate.n ilaahii kis mulk bastiyaa.n hai.n
ab dekhne ko jin ke aa.nkhe.n tarastiyaa.n hai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
har mulk is ke aage jhuktaa hai ehtiraaman
har mulk kaa hai father hindostaa.n hamaaraa
Shauq Bahraichi
Sher
Zia Zameer
Sher
ye kaisii siyaasat hai mire mulk pe haavii
insaan ko insaa.n se judaa dekh rahaa huu.n
Sabir Dutt
Sher
'muniir' is mulk par aaseb kaa saaya hai yaa kyaa hai
ki harkat tez-tar hai aur safar aahista aahista
Muneer Niyazi
Sher
kaarvaa.n jin kaa luTaa raah me.n aazaadii kii
qaum kaa mulk kaa un dard ke maaro.n ko salaam
Bano Tahira Sayeed
Sher
mai.n bahut kamzor thaa is mulk me.n hijrat ke baad
par mujhe is mulk me.n kamzor-tar us ne kiyaa
Muneer Niyazi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
sab mire chaahne vaale hai.n miraa ko.ii nahii.n
mai.n bhii is mulk me.n urdu kii tarah rahtaa huu.n
Hasan Kazmi
Sher
jur.at kahaa.n ki apnaa pata tak bataa sakuu.n
jiitaa huu.n apne mulk me.n auro.n ke naam se
Hasan Naim
Sher
us mulk me.n bhii log qayaamat ke hai.n munkir
jis mulk ke har shahar me.n ik hashr bapaa hai
Saleem Betab
Sher
Deepak Purohit
Sher
tabl-o-alam hii paas hai.n apne na mulk-o-maal
ham se KHilaaf ho ke karegaa zamaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
gunjaa.ish-e-do-shaah nahii.n ek mulk me.n
vahdaaniyat ke haq kii yahii bas daliil hai
Sher Mohammad Khan Iman
Sher
reKHta ke qasr kii buniyaad uThaa.ii ai 'nasiir'
kaam hai mulk-e-suKHan me.n saahib-e-maqduur kaa
Shah Naseer
Sher
dil-lagii ke vaaste dehlii me.n hai maTiyaa-mahal
kaun jaave KHaak u.Daane mulk-e-biikaaner ko