SEARCH RESULTS
Showing search results for "musalsal"
Sher MATCHES FOR "musalsal"
Sher
Waseem Barelvi
Sher
is qadar musalsal thii.n shiddate.n judaa.ii kii
aaj pahlii baar us se mai.n ne bevafaa.ii kii
Ahmad Faraz
Sher
Aashufta Changezi
Sher
jo log guzarte hai.n musalsal rah-e-dil se
din eid kaa un ko ho mubaarak tah-e-dil se
Obaid Azam Azmi
Sher
har ik shikast-e-tamannaa pe muskuraate hai.n
vo kyaa kare.n jo musalsal fareb khaate hai.n
Raaz Muradabadi
Sher
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii paa.ii hai sazaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
aisaa hai ki sab KHvaab musalsal nahii.n hote
jo aaj to hote hai.n magar kal nahii.n hote
Ahmad Faraz
Sher
bas ik KHataa kii musalsal sazaa abhii tak hai
mire KHilaaf miraa aa.iina abhii tak hai
Rais Siddiqui
Sher
zindagii naam hai ik johd-e-musalsal kaa 'fanaa'
raah-rau aur bhii thak jaataa hai aaraam ke ba.ad
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ik musalsal dau.D me.n hai.n manzile.n aur faasle
paa.nv to apnii jagah hai.n raasta apnii jagah
Iftikhar Imam Siddiqi
Sher
musalsal ek hii tasviir chashm-e-tar me.n rahii
charaaG bujh bhii gayaa raushnii safar me.n rahii
Yasmeen Hameed
Sher
vaqt kii sa.ii-e-musalsal kaargar hotii ga.ii
zindagii lahza-ba-lahza muKHtasar hotii ga.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
ye bastiyaa.n hai.n ki maqtal du.aa kiye jaa.e.n
du.aa ke din hai.n musalsal du.aa kiye jaa.e.n
Iftikhar Arif
Sher
Anwar Jalalpuri
Sher
ik karb-e-musalsal kii sazaa de.n to kise de.n
maqtal me.n hai.n jiine kii du.aa de.n to kise de.n
Aanis Moin
Sher
Gam musalsal ho to ahbaab bichha.D jaate hai.n
ab na ko.ii dil-e-tanhaa ke qarii.n aa.egaa