SEARCH RESULTS
Showing search results for "na-jaane"
Sher MATCHES FOR "na-jaane"
Sher
na jaane KHatm hu.ii kab hamaarii aazaadii
ta.alluqaat kii paabandiyaa.n nibhaate hu.e
Azhar Iqbal
Sher
na jaane kaun sii manzil ko chal diye patte
bhaTak rahii hai.n havaa.e.n musaafiro.n kii tarah
Kaif Ansari
Sher
Raghvendra Dwivedi
Sher
na jaane kaisaa masiihaa thaa chaahtaa kyaa thaa
tamaam shahr ko biimaar dekh kar KHush thaa
Ameer Qazalbash
Sher
na jaane kitnii aziyyat se KHud guzartaa hai
ye zaKHm tab kahii.n jaa kar nishaa.n banaataa hai
Khushbir Singh Shaad
Sher
na jaane kaun fazaa.o.n me.n zahr ghol gayaa
haraa-bharaa saa shajar be-libaas kaisaa hai
Abdussamad ’Tapish’
Sher
log dekhe.n to na jaane use kyaa samjhe.nge
aa.ina dekhnaa teraa miraa hairaa.n honaa
Jameeluddin Aali
Sher
chalaa gayaa jo mujhe chho.D kar na jaane kahaa.n
mai.n us ke naam pe ye zindagii guzaaruu.n kyo.n
Seema Naqvi
Sher
na jaane kaun sii turpan udhe.D rakkhii hai
kisii ke jaane se itnaa bhii kaun rotaa hai
Pranav Mishra Tejas
Sher
Qateel Shifai
Sher
Anwar Jalalpuri
Sher
juz tire ko.ii bhii din raat na jaane mere
tuu kahaa.n hai magar ai dost puraane mere
Ahmad Faraz
Sher
na jaane kaisii mahruumii pas-e-raftaar chaltii hai
hamesha mere aage aage ik diivaar chaltii hai
Aziz Nabeel
Sher
na jaane us ne khule aasmaa.n me.n kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas me.n lauT aayaa
Arshad Jamal Sarim
Sher
na-jaane kaisii nigaaho.n se maut ne dekhaa
hu.ii hai nii.nd se bedaar zindagii ki mai.n huu.n
Saima Esma
Sher
na jaane kaun sii manzil pe ishq aa pahu.nchaa
du.aa bhii kaam na aa.e ko.ii davaa na lage