SEARCH RESULTS
Showing search results for "nuskha e haa e wafa faiz ahmad faiz ebooks"
Sher MATCHES FOR "nuskha e haa e wafa faiz ahmad faiz ebooks"
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
tum aa.e ho na shab-e-intizaar guzrii hai
talaash me.n hai sahar baar baar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sab qatl ho ke tere muqaabil se aa.e hai.n
ham log surKH-ruu hai.n ki manzil se aa.e hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
in me.n lahuu jalaa ho hamaaraa ki jaan o dil
mahfil me.n kuchh charaaG farozaa.n hu.e to hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mai-KHaana salaamat hai to ham surKHii-e-mai se
taz.iin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
haa.n nukta-varo laa.o lab-o-dil kii gavaahii
haa.n naGmagaro saaz-e-sadaa kyuu.n nahii.n dete
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale