SEARCH RESULTS
Showing search results for "parii-vash"
Sher MATCHES FOR "parii-vash"
Sher
zikr us parii-vash kaa aur phir bayaa.n apnaa
ban gayaa raqiib aaKHir thaa jo raaz-daa.n apnaa
Mirza Ghalib
Sher
ho chaman ke phuulo.n kaa yaa kisii parii-vash kaa
husn ke sa.nvarne me.n der kuchh to lagtii hai
Amjad Islam Amjad
Sher
Wasi Shah
Sher
sharm kab tak ai parii laa haath kar iqraar-e-vasl
apne dil ko saKHt kar ke rishta-e-inkaar to.D
Muneer Shikohabadi
Sher
vo bole vasl kii haa.n hai to pyaarii pyaarii raat
kahaa.n se aa.ii ye allaah kii sa.nvaarii raat
Riyaz Khairabadi
Sher
vasl par dil hii kisii kaa na ho maa.il jab tak
hijr kii puurii zaruurat nahii.n kii jaa saktii
Azeez Adil
Sher
vasl ke baad bhii puurii nahii.n hotii KHvaahish
aur kuchh hai jo ye naadiida badan chaahtaa hai
Abrar Ahmad Kashif
Sher
mai.n shauq-e-vasl me.n kyaa rail par shitaab aayaa
ki sub.h hind me.n thaa shaam pa.nj-aab aayaa
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
sun vasf-e-dahan diijiye kuchh mu.nh se piyaare
mujh shaa.er-e-muflis kii hai guzraan sile par