SEARCH RESULTS
Showing search results for "paro ali jawwad zaidi ebooks"
Sher MATCHES FOR "paro ali jawwad zaidi ebooks"
Sher
jab chhe.Dtii hai.n un ko gumnaam aarzuu.e.n
vo mujh ko dekhte hai.n merii nazar bachaa ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
mire haath suljhaa hii le.nge kisii din
abhii zulf-e-hastii me.n KHam hai to kyaa Gam
Ali Jawad Zaidi
Sher
nazzaara-e-jamaal kii fursat kahaa.n milii
pahlii nazar nazar kii hado.n se guzar ga.ii
Ali Jawad Zaidi
Sher
ye dushmanii hai saaqii yaa dostii hai saaqii
auro.n ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
ek tumhaarii yaad ne laakh diye jalaa.e hai.n
aamad-e-shab ke qabl bhii KHatm-e-sahar ke baad bhii
Ali Jawad Zaidi
Sher
jin hauslo.n se meraa junuu.n mutma.in na thaa
vo hausle zamaane ke meyaar ho ga.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
Ali Jawad Zaidi
Sher
dil kaa lahuu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-Gam me.n aisii bhii manzil se aa.e hai.n
Ali Jawad Zaidi
Sher
hijr kii raat ye har Duubte taare ne kahaa
ham na kahte the na aa.e.nge vo aa.e to nahii.n
Ali Jawad Zaidi
Sher
Gazab hu.aa ki in aa.nkho.n me.n ashk bhar aa.e
nigaah-e-yaas se kuchh aur kaam lenaa thaa
Ali Jawad Zaidi
Sher
Ali Jawad Zaidi
Sher
Gair puuchhe.n bhii to ham kyaa apnaa afsaana kahe.n
ab to ham vo hai.n jise apne bhii begaana kahe.n
Ali Jawad Zaidi
Sher
ab dard me.n vo kaifiyat-e-dard nahii.n hai
aayaa huu.n jo us bazm-e-gul-afshaa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
Ali Jawad Zaidi
Sher
lazzat-e-dard milii ishrat-e-ehsaas milii
kaun kahtaa hai ham us bazm se naakaam aa.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
dil me.n jo dard hai vo nigaaho.n se hai ayaa.n
ye baat aur hai na kahe.n kuchh zabaa.n se ham