SEARCH RESULTS
Showing search results for "patthar-dil"
Sher MATCHES FOR "patthar-dil"
Sher
ik dard ho bas aaTh pahar dil me.n ki jis ko
taKHfiif davaa se ho na taskiin du.aa se
Altaf Hussain Hali
Sher
har dha.Dakte patthar ko log dil samajhte hai.n
umre.n biit jaatii hai.n dil ko dil banaane me.n
Bashir Badr
Sher
lagaayaa hai dil bhii to patthar se mai.n ne
mirii zindagii kii yahii ik KHataa hai
Amit Sharma Meet
Sher
aaKHir insaan huu.n patthar kaa to rakhtaa nahii.n dil
ai buto itnaa sataa.o na KHudaa-raa mujh ko
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
jaluu.ngaa mai.n ki dil us but kaa Gair par aayaa
u.Degii aag ki patthar giraa hai patthar par
Taashshuq Lakhnavi
Sher
dil kaa chhuunaa thaa ki jazbaat hu.e patthar ke
aisaa lagtaa hai ki ham shahr-e-tilismaat me.n hai.n
Ali Zubair
Sher
ek dil patthar bane aur ek dil ban jaa.e mom
aaKHir itnaa farq kyuu.n taqsiim-e-aab-o-gil me.n hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
log patthar ke the fariyaad kahaa.n tak karte
dil ke viiraane ham aabaad kahaa.n tak karte
Rashid Taraz
Sher
patthar me.n kaun jo.nk lagaa.egaa mere dost
dil hai to mubtalaa bhii kahii.n honaa chaahiye
Anjum Saleemi
Sher
Zohaib Azmi
Sher
patthar to hazaaro.n ne maare the mujhe lekin
jo dil pe lagaa aa kar ik dost ne maaraa hai
Sohail Azeemabadi
Sher
Maqbool Naqsh
Sher
ik Thes bhii halkii sii patthar se giraa.n-tar hai
naazuk hai ye dil itnaa shiishe kaa ho ghar jaise