SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaid"
Sher MATCHES FOR "qaid"
Sher
qurbate.n hote hu.e bhii faaslo.n me.n qaid hai.n
kitnii aazaadii se ham apnii hado.n me.n qaid hai.n
Saleem Kausar
Sher
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thii lekin
kisii ne mujh ko giraftaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
Iftikhar Arif
Sher
ghar me.n KHud ko qaid to mai.n ne aaj kiyaa hai
tab bhii tanhaa thaa jab mahfil mahfil thaa mai.n
Shariq Kaifi
Sher
bulbul ko baaGbaa.n se na sayyaad se gila
qismat me.n qaid likkhii thii fasl-e-bahaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
bose biivii ke ha.nsii bachcho.n kii aa.nkhe.n maa.n kii
qaid-KHaane me.n giraftaar samajhiye ham ko
Fuzail Jafri
Sher
zindagii jabr hai aur jabr ke aasaar nahii.n
haa.e is qaid ko zanjiir bhii darkaar nahii.n
Fani Badayuni
Sher
saahil pe qaid laakho.n safiino.n ke vaaste
merii shikasta naav hai tuufaa.n liye hu.e
Salik Lakhnavi
Sher
Bilal Ahmad
Sher
rihaa kar de qafas kii qaid se ghaayal parinde ko
kisii ke dard ko is dil me.n kitne saal paalegaa
Aitbar Sajid
Sher
zulfo.n me.n kiyaa qaid na abruu se kiyaa qatl
tuu ne to ko.ii baat na maanii mire dil kii
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
jab mai-kada chhuTaa to phir ab kyaa jagah kii qaid
masjid ho madrasa ho ko.ii KHaanqaah ho
Mirza Ghalib
Sher
kufr o islaam kii kuchh qaid nahii.n ai 'aatish'
shaiKH ho yaa ki barhaman ho par insaa.n hove
Haidar Ali Aatish
Sher
qaid-e-maz.hab kii giraftaarii se chhuT jaataa hai
ho na diivaana to hai aql se insaa.n KHaalii