SEARCH RESULTS
Showing search results for "qasd"
Sher MATCHES FOR "qasd"
Sher
Waheed Arshi
Sher
Allama Iqbal
Sher
qurbate.n hote hu.e bhii faaslo.n me.n qaid hai.n
kitnii aazaadii se ham apnii hado.n me.n qaid hai.n
Saleem Kausar
Sher
ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.nsuu kii jagah aa.nkh se hasrat nikal aa.e
Ahmad Faraz
Sher
ko.ii mere dil se puuchhe tire tiir-e-niim-kash ko
ye KHalish kahaa.n se hotii jo jigar ke paar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
vo chaahtaa thaa ki kaasa KHariid le meraa
mai.n us ke taaj kii qiimat lagaa ke lauT aayaa
Rahat Indori
Sher
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thii lekin
kisii ne mujh ko giraftaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
kaash dekho kabhii TuuTe hu.e aa.iino.n ko
dil shikasta ho to phir apnaa paraayaa kyaa hai
Obaidullah Aleem
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
kyaa jaane kyaa likhaa thaa use iztiraab me.n
qaasid kii laash aa.ii hai KHat ke javaab me.n
Momin Khan Momin
Sher
qaasid ke aate aate KHat ik aur likh rakhuu.n
mai.n jaantaa huu.n jo vo likhe.nge javaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
Iftikhar Arif
Sher
ghar me.n KHud ko qaid to mai.n ne aaj kiyaa hai
tab bhii tanhaa thaa jab mahfil mahfil thaa mai.n