SEARCH RESULTS
Showing search results for "qatar"
Sher MATCHES FOR "qatar"
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
hamaare jaise vahaa.n kis shumaar me.n ho.nge
ki jis qataar me.n majnuu.n kaa naam aaKHirii hai
Abbas Tabish
Sher
jhukii jhukii sii nazar be-qaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n
Kaifi Azmi
Sher
masruuf gorkan ko bhii shaayad pata nahii.n
vo KHud kha.Daa hu.aa hai qazaa kii qataar me.n
Nida Fazli
Sher
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqa.a bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badayuni
Sher
phuul to phuul hai.n aa.nkho.n se ghire rahte hai.n
kaa.nTe be-kaar hifaazat me.n lage rahte hai.n
Waseem Barelvi
Sher
bechain is qadar thaa ki soyaa na raat bhar
palko.n se likh rahaa thaa tiraa naam chaa.nd par
Unknown
Sher
is qadar musalsal thii.n shiddate.n judaa.ii kii
aaj pahlii baar us se mai.n ne bevafaa.ii kii
Ahmad Faraz
Sher
Momin Khan Momin
Sher
jo log maut ko zaalim qaraar dete hai.n
KHudaa milaa.e unhe.n zindagii ke maaro.n se
Nazeer Siddiqui
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
asiiraan-e-qafas par zulm to sayyaad karte hai.n
ki un ke par katar lete hai.n tab aazaad karte hai.n