SEARCH RESULTS
Showing search results for "raahiyo.n"
Sher MATCHES FOR "raahiyo.n"
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dard aisaa hai ki jii chaahe hai zinda rahiye
zindagii aisii ki mar jaane ko jii chaahe hai
Kaleem Aajiz
Sher
tanhaa.iyaa.n tumhaaraa pata puuchhtii rahii.n
shab-bhar tumhaarii yaad ne sone nahii.n diyaa
Unknown
Sher
shaaKHe.n rahii.n to phuul bhii patte bhii aa.e.nge
ye din agar bure hai.n to achchhe bhii aa.e.nge
Unknown
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
dekhnaa achchhaa nahii.n zaanuu pe rakh kar aa.ina
dono.n naazuk hai.n na rakhiyo aa.ine par aa.ina
Dagh Dehlvi
Sher
mujh se biga.D ga.e to raqiibo.n kii ban ga.ii
Gairo.n me.n baT rahaa hai miraa e'tibaar aaj
Ahmad Husain Mail
Sher
abhii to jaag rahe hai.n charaaG raaho.n ke
abhii hai duur sahar tho.Dii duur saath chalo
Ahmad Faraz
Sher
Ameer Khusrau
Sher
kare.n to kis se kare.n naa-rasaa.iyo.n kaa gila
safar tamaam hu.aa ham-safar nahii.n aayaa
Iftikhar Arif
Sher
Nida Fazli
Sher
kuchh be-Thikaana kartii rahii.n hijrate.n mudaam
kuchh merii vahshato.n ne mujhe dar-ba-dar kiyaa
Sabir Zafar
Sher
marne ke vaqt bhii mirii aa.nhke.n khulii rahii.n
aadat jo pa.D ga.ii thii tire intizaar kii
Unknown
Sher
aa.nkhe.n sahar talak mirii dar se lagii rahii.n
kyaa puuchhte ho haal shab-e-intizaar kaa