SEARCH RESULTS
Showing search results for "raavan"
Sher MATCHES FOR "raavan"
Sher
kuchh nahii.n chaahiye tujh se ai mirii umr-e-ravaa.n
miraa bachpan mire jugnuu mirii gu.Diyaa laa de
Noshi Gilani
Sher
hotii hai shaam aa.nkh se aa.nsuu ravaa.n hu.e
ye vaqt qaidiyo.n kii rihaa.ii kaa vaqt hai
Ahmad Mushtaq
Sher
jaan-e-tanhaa pe guzar jaa.e.n hazaaro.n sadme
aa.nkh se ashk ravaa.n ho.n ye zaruurii to nahii.n
Sahir Ludhianvi
Sher
vo KHush ho ke mujh se KHafaa ho gayaa
mujhe kyaa umiide.n thii.n kyaa ho gayaa
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
us ko KHizaa.n ke aane kaa kyaa ranj kyaa qalaq
rote kaTaa ho jis ko zamaana bahaar kaa
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
to.Daa hai dam abhii abhii biimaar-e-hijr ne
aa.e magar huzuur ko taaKHiir ho ga.ii
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
ab naam nahii.n kaam kaa qaa.el hai zamaana
ab naam kisii shaKHs kaa raavan na milegaa
Anwar Jalalpuri
Sher
ashko.n ke tasalsul ne chhupaayaa tan-e-uryaa.n
ye aab-e-ravaa.n kaa hai nayaa pairahan apnaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
is dasht pe ehsaa.n na kar ai abr-e-ravaa.n aur
jab aag ho nam-KHurda to uThtaa hai dhu.aa.n aur
Himayat Ali Shayar
Sher
pesh to hogaa adaalat me.n muqadmaa be-shak
jurm qaatil hii ke sar ho ye zaruurii to nahii.n
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
Abbas Qamar
Sher
aaj dariyaa me.n ajab shor ajab halchal hai
kis kii kashtii ne qadam aab-e-ravaa.n par rakkhaa
Khurshid Talab
Sher
qadam qadam pe havaadis ne rahnumaa.ii kii
ravaa.n hai jaada-e-manzil pe kaarvaan-e-KHayaal
Yaqoob Usmani
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii
Saba Akbarabadi
Sher
dariyaa kii tarah ravaa.n huu.n lekin
ab tak bhii vahii.n huu.n mai.n jahaa.n huu.n
Ismail Merathi
Sher
is tarah rail ke hamraah ravaa.n hai baadal
saath jaise ko.ii u.Dtaa hu.aa mai-KHaana chale