SEARCH RESULTS
Showing search results for "rishta-e-sham-e-sahar-gahii"
Sher MATCHES FOR "rishta-e-sham-e-sahar-gahii"
Sher
halqa-e-shaam-o-sahar se nahii.n jaane vaalaa
dard is diida-e-tar se nahii.n jaane vaalaa
Syed Amin Ashraf
Sher
vahii yaksaaniyat-e-shaam-o-sahar hai ki jo thii
zindagii dast-ba-dil KHaak-basar hai ki jo thii
Azeem Murtaza
Sher
Basheerunnisaa Begam Basheer
Sher
Nushur Wahidi
Sher
ye ham jo peT se hii sochte hai.n shaam o sahar
kabhii to jaa.e.nge is daal-bhaat se aage
Zafar Iqbal
Sher
ai ahl-e-vatan shaam-o-sahar jaagte rahnaa
aGyaar hai.n aamaada-e-shar jaagte rahnaa
Jafar Malihabadi
Sher
ye dilkashii kahaa.n mirii shaam-o-sahar me.n thii
duniyaa tirii nazar kii badaulat nazar me.n hai
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
shafaq se hai.n dar-o-diivaar zard shaam-o-sahar
hu.aa hai lucknow is rahguzar me.n pilibhit
Meer Taqi Meer
Sher
'attaar' ho 'ruumii' ho 'raazii' ho 'Gazaalii' ho
kuchh haath nahii.n aataa be-aah-e-sahar-gaahii
Allama Iqbal
Sher
ik daa.imii sukuu.n kii tamannaa hai raat din
ta.ng aa ga.e hai.n gardish-e-shaam-o-sahar se ham
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
Sher
aa.e na phir nazar kahii.n jaane kidhar ga.e
un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar ga.ii
Baqi Siddiqui
Sher
jo log aa rahe hai.n tumhaare qariib-tar
mu.D kar vo suu-e-shaam-o-sahar dekhte nahii.n
Maya Khanna Raje Barelvi
Sher
tark-e-ulfat se mohabbat kaa likhaa miT na sakaa
vahii afsurdagii-e-shaam-o-sahar aaj bhii hai
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
Sher
sharaab-e-husn-o-mohabbat fashurda-e-anjum
aniis-e-shaam-o-sahar hamdam-e-vajuud-o-adam
Izhaar Malihabadi
Sher
baato.n me.n lagaa.e hii mujhe rakhtaa hai zaalim
va.ade vahii jhuuTe hai.n vahii shaam-o-sahar roz
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
'chandaa' rahe partav se tire yaa alii raushan
KHurshiid ko hai dar se tire shaam-o-sahar faiz