SEARCH RESULTS
Showing search results for "rizq-e-haal"
Sher MATCHES FOR "rizq-e-haal"
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
ye kis liye ai zamaane tirii kare taqliid
'shajar' kaa rizq-e-suKHan karbalaa se aataa hai
Muzammil Abbas Shajar
Sher
ai mire chaaraagar tire bas me.n nahii.n mo.aamla
suurat-e-haal ke liye vaaqif-e-haal chaahiye
Saleem Kausar
Sher
javaab dene ke badle vo shakl dekhte hai.n
ye kyaa hu.aa mere chehre ko arz-e-haal ke ba.ad
Arzoo Lakhnavi
Sher
aatish kaa sher pa.Dhtaa huu.n aksar ba-hasb-e-haal
dil said hai vo bahr-e-suKHan ke naha.ng kaa
Maatam Fazl Mohammad
Sher
zabaan-e-haal se ye lucknow kii KHaak kahtii hai
miTaayaa gardish-e-aflaak ne jaah-o-hasham meraa
Chakbast Braj Narayan
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai
KHud ko maazii kaa nihaa.n-KHaana banaa rakkhaa hai
Abbas Qamar
Sher
dukaan-e-mai pe pahu.nch kar khulii haqiiqat-e-haal
hayaat bech rahaa thaa vo mai-farosh na thaa
Jaleel Manikpuri
Sher
iz.haar-e-haal kaa bhii zariiya nahii.n rahaa
dil itnaa jal gayaa hai ki aa.nkho.n me.n nam nahii.n
Ismail Merathi
Sher
Ahmad Muaz
Sher
tiraa firaaq to rizq-e-halaal hai mujh ko
ye phal paraa.e shajar se utaaraa tho.Dii hai