SEARCH RESULTS
Showing search results for "sabr-o-taab-e-shakeb"
Sher MATCHES FOR "sabr-o-taab-e-shakeb"
Sher
KHatm karnaa chaahtaa huu.n pech-o-taab-e-zindagii
yaad-e-gesuu zor-e-baazuu ban mire shaane me.n aa
Natiq Gulavthi
Sher
hosh o havaas o taab o tavaa.n 'daaG' jaa chuke
ab ham bhii jaane vaale hai.n saamaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
ai taab-e-barq tho.Dii sii takliif aur bhii
kuchh rah ga.e hai.n KHaar-o-KHas-e-aashiyaa.n hanuuz
Shefta Mustafa Khan
Sher
Allama Iqbal
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
phir ek shola-e-pur-pech-o-taab bha.Dkegaa
ki chand tinko.n ko tartiib de rahaa huu.n mai.n
Gopal Mittal
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
kahaa.n se laa.uu.n sabr-e-hazrat-e-ayyuub ai saaqii
KHum aa.egaa suraahii aa.egii tab jaam aa.egaa
Shad Azimabadi
Sher
sabr-o-qaraar-e-dil mire jaane kahaa.n chale ga.e
bichh.De hu.e na phir mile aise hu.e judaa ki bas
Akhtar Muslimi
Sher
taab-e-yak-lahza kahaa.n husn-e-junuu.n-KHez ke pesh
saa.ns lene se tavajjoh me.n KHalal pa.Dtaa hai
Irfan Sattar
Sher
taab-e-nazzaara nahii.n aa.ina kyaa dekhne duu.n
aur ban jaa.e.nge tasviir jo hairaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
phir gardish-e-dauraa.n se ulajhnaa nahii.n mushkil
Gurbat me.n jo pindaar-e-tab-o-taab na TuuTe
Bismil Aghai
Sher
sabr ai dil ki ye haalat nahii.n dekhii jaatii
Thahr ai dard ki ab zabt kaa yaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
taab-o-taaqat rahe kyaa KHaak ki a.azaa ke ta.ii.n
haakim-e-zo.af se farmaan-e-taG.iirii aayaa