SEARCH RESULTS
Showing search results for "saum"
Sher MATCHES FOR "saum"
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
sau chaa.nd bhii chamke.nge to kyaa baat banegii
tum aa.e to is raat kii auqaat banegii
Jan Nisar Akhtar
Sher
sau sau umiide.n ba.ndhtii hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare ko.ii
Allama Iqbal
Sher
duniyaa me.n 'bahr' kaun ibaadat-guzaar hai
saum-o-salaat daaKHil-e-rasm-o-rivaaj hai
Imdad Ali Bahr
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
Ameer Minai
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye
Bekhud Dehlvi
Sher
shahr ke a.ndhere ko ik charaaG kaafii hai
sau charaaG jalte hai.n ik charaaG jalne se
Ehtisham Akhtar
Sher
ik baar tujhe aql ne chaahaa thaa bhulaanaa
sau baar junuu.n ne tirii tasviir dikhaa dii
Mahirul Qadri
Sher
Saud Usmani
Sher
sau baar jis ko dekh ke hairaan ho chuke
jii chaahtaa hai phir use ik baar dekhnaa
Saba Akbarabadi
Sher
sau jaan se ho jaa.uu.ngaa raazii mai.n sazaa par
pahle vo mujhe apnaa gunahgaar to kar le
Akbar Allahabadi
Sher
aql ayyaar hai sau bhes badal letii hai
ishq bechaara na zaahid hai na mullaa na hakiim