SEARCH RESULTS
Showing search results for "talak"
Sher MATCHES FOR "talak"
Sher
dillii me.n aaj bhiik bhii miltii nahii.n unhe.n
thaa kal talak dimaaG jinhe.n taaj-o-taKHt kaa
Meer Taqi Meer
Sher
baat niklegii to phir duur talak jaa.egii
log be-vaj.h udaasii kaa sabab puuchhe.nge
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
dekhii thii ek raat tirii zulf KHvaab me.n
phir jab talak jiyaa mai.n pareshaan hii rahaa
Raza Azimabadi
Sher
apnii taraf to mai.n bhii nahii.n huu.n abhii talak
aur us taraf tamaam zamaana usii kaa hai
Ameer Imam
Sher
talaaq de to rahe ho itaab-o-qahr ke saath
miraa shabaab bhii lauTaa do merii mahr ke saath
Sajid Sajni Lakhnawi
Sher
sutuun-e-daar pe rakhte chalo saro.n ke charaaG
jahaa.n talak ye sitam kii siyaah raat chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
nazar me.n duur talak rahguzar zaruurii hai
kisii bhii samt ho lekin safar zaruurii hai
Obaidur Rahman
Sher
ye kam hai kyaa ki mire paas baiThaa rahtaa hai
vo jab talak mire dil ko dukhaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Sher
be-niyaazii had se guzrii banda-parvar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaave.nge kyaa
Mirza Ghalib
Sher
sirf darvaaze talak jaa ke hii lauT aayaa huu.n
aisaa lagtaa hai ki sadiyo.n kaa safar kar aayaa