SEARCH RESULTS
Showing search results for "taqsiim"
Sher MATCHES FOR "taqsiim"
Sher
mujhe bhii lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsiim
nigaah ghar kii taraf hai qadam safar kii taraf
Shehpar Rasool
Sher
Allama Iqbal
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
manzil to KHush-nasiibo.n me.n taqsiim ho chukii
kuchh KHush-KHayaal log abhii tak safar me.n hai.n
Iqbal Azeem
Sher
ye kis hisaab se kii tuu ne raushnii taqsiim
sitaare mujh ko mile maahtaab us kaa thaa
Wazir Agha
Sher
ek dil patthar bane aur ek dil ban jaa.e mom
aaKHir itnaa farq kyuu.n taqsiim-e-aab-o-gil me.n hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
Ahtamam Sadiq
Sher
husain rif.ate.n taqsiim kartaa hai ab bhii
yaziid aaj bhii rusvaa.iyaa.n sameTtaa hai
Nadiya ambar lodhi
Sher
Anjum Fauqi Badayuni
Sher
taqsiim phir hu.ii hai viraasat kuchh is tarah
ik maa.n zamii.n pe dekhiye phir dar-ba-dar hu.ii
Farah Shahid
Sher
sab kii nigaah me.n tire godaam aa ga.e
ab apne haatho.n maal kii taqsiim kar na kar
Tanveer Sipra
Sher
ai KHudaa insaan kii taqsiim-dar-taqsiim dekh
paarsaa.o.n devtaa.o.n qaatilo.n ke darmiyaa.n
Hasan Abidi
Sher
ghar kii taqsiim vasiyyat ke mutaabiq hogii
phir bhii kyo.n mujh ko sage bhaa.ii se Dar lagtaa hai
Meraj Ahmad Meraj
Sher
merii aavaaz ko aavaaz ne taqsiim kiyaa
radio me.n huu.n telephone ke andar huu.n mai.n
Kavish Badri
Sher
ajiib Dha.ng se taqsiim-e-kaar kii us ne
so jis ko dil na diyaa us ko dilrubaa.ii dii
Bilal Ahmad
Sher
jaam-e-aqiiq zard hai nargis ke haath me.n
taqsiim kar rahaa hai mai-e-arGavaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
mai.n apne aap me.n taqsiim hone lagtaa huu.n
use kaho ki mire saamne na aayaa kare
Zahoor Chohan
Sher
ghar kii taqsiim vasiyyat ke mutaabiq hogii
phir bhii kyo.n mujh ko sage bhaa.ii se Dar lagtaa hai
Meraj Ahmad Meraj
Sher
sivaa.e is ke ko.ii bhii masruufiyat nahii.n hai
mai.n in dino.n bas charaaG taqsiim kar rahaa huu.n