SEARCH RESULTS
Showing search results for "tashriif"
Sher MATCHES FOR "tashriif"
Sher
suntaa huu.n mai.n ki aaj vo tashriif laa.e.nge
allaah sach kare kahii.n jhuuTii KHabar na ho
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
tashriif laa.o kuucha-e-rindaa.n me.n vaa.izo
siidhii sii raah tum ko bataa de.n najaat kii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kaun sii shab mujh ko hogii lailatul-qadr ai KHudaa
dekhiye tashriif vo kis din mire ghar laa.e.nge
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Gam ke piichho raast kahte hai.n ki shaadii hove hai
hazrat-e-ramzaa.n ga.e tashriif le ab iid hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
shaa.er ko mast kartii hai taariif-e-sher 'amiir'
sau botalo.n kaa nashsha hai is vaah vaah me.n
Ameer Minai
Sher
Mardan Ali Khan Rana
Sher
taariif us KHudaa kii jis ne jahaa.n banaayaa
kaisii zamii.n banaa.ii kyaa aasmaa.n banaayaa
Ismail Merathi
Sher
yahii tashviish shab-o-roz hai bangaale me.n
lucknow phir kabhii dikhlaa.e muqaddar meraa
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
ustaad ke ehsaan kaa kar shukr 'muniir' aaj
kii ahl-e-suKHan ne tirii taariif ba.Dii baat
Muneer Shikohabadi
Sher
mahshar me.n ik savaal kiyaa thaa kariim ne
mujh se vahaa.n bhii aap kii taariif ho ga.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
tashbiih tire chehre ko kyaa duu.n gul-e-tar se
hotaa hai shagufta magar itnaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
tire badan kii mahak ko gulaab se tashbiih
ki jaise ko.ii dikhaa.e charaaG suuraj ko
Maroof Raebarelvi
Sher
dekhiye aaj vo tashriif kahaa.n farmaa.e.n
ham se va.ada hai judaa Gair se iqraar judaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
ka.ii tarah ke tahaa.if pasand hai.n us ko
magar jo kaam yahaa.n phuul se nikaltaa hai