SEARCH RESULTS
Showing search results for "uu"
Sher MATCHES FOR "uu"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahe.nge
jo dil pe guzartii hai raqam karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jaate jaate aap itnaa kaam to kiije miraa
yaad kaa saaraa sar-o-saamaa.n jalaate jaa.iye
Jaun Eliya
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
so dekh kar tire ruKHsaar o lab yaqii.n aayaa
ki phuul khilte hai.n gulzaar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
na shab o roz hii badle hai.n na haal achchhaa hai
kis barhaman ne kahaa thaa ki ye saal achchhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
na paak hogaa kabhii husn o ishq kaa jhag.Daa
vo qissa hai ye ki jis kaa ko.ii gavaah nahii.n
Haidar Ali Aatish
Sher
kisii kaa yuu.n to hu.aa kaun umr bhar phir bhii
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Gam-e-hayaat ne aavaara kar diyaa varna
thii aarzuu ki tire dar pe sub.h o shaam kare.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
aaj us ne ha.ns ke yuu.n puuchhaa mizaaj
umr bhar ke ranj-o-Gam yaad aa ga.e
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
duniyaa ne tajrabaat o havaadis kii shakl me.n
jo kuchh mujhe diyaa hai vo lauTaa rahaa huu.n mai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
dillii me.n aaj bhiik bhii miltii nahii.n unhe.n
thaa kal talak dimaaG jinhe.n taaj-o-taKHt kaa
Meer Taqi Meer
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
bahut mushkil hai duniyaa kaa sa.nvarnaa
tirii zulfo.n kaa pech-o-KHam nahii.n hai