SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaabasta-e-tan"
Sher MATCHES FOR "vaabasta-e-tan"
Sher
naav kaaGaz kii tan-e-KHaakii-e-insaa.n samjho
Garq ho jaa.e.ngii chhii.nTaa jo pa.Daa paanii kaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
haadsaat-e-dahr me.n vaabasta-e-arbaab-e-dard
lii jahaa.n karvaT kisii ne inqalaab aa hii gayaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
dil agar dil hai to vaabasta-e-Gam bhii hogaa
nik.hat-e-gul bhii kahii.n gul se judaa rahtii hai
Unknown
Sher
Thiik aa.ii tan pe apne qabaa-e-barahnagii
baanii libaas chhoTe hu.e yaa ba.De hu.e
Haidar Ali Aatish
Sher
dil Duub gayaa TuuT gayaa sabr kaa la.ngar
ho kashtii-e-tan kyuu.n na pareshaan-e-talaatum
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hai mohabbat is vatan se apnii miTTii se hame.n
is liye apnaa kare.nge jaan-o-tan qurbaan ham
Unknown
Sher
libaas badle nahii.n ham ne mausamo.n kii tarah
ki zeb-e-tan jo kiyaa ek hii labaada kiyaa
Mohsin Zaidi
Sher
Ameer Minai
Sher
yuu.n ruuh thii adam me.n mirii bahr-e-tan udaas
Gurbat me.n jis tarah ho Gariib-ul-vatan udaas
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ho jaatii hai havaa qafas-e-tan se chhaT ke ruuh
kyaa said bhaagtaa hai rihaa ho ke daam se
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Gazab hai ruuh se is jaama-e-tan kaa judaa honaa
libaas-e-ta.ng hai utregaa aaKHir dhajjiyaa.n ho kar
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
Shah Naseer
Sher
is ko kahte hai.n KHudaa kii den ye hotii hai den
ab civil-surgeon banegaa jaanashiin-e-taan-sen