SEARCH RESULTS
Showing search results for "yazdaa.n"
Sher MATCHES FOR "yazdaa.n"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
Nazeer Siddiqui
Sher
taKHliiq-e-kaa.enaat ke dilchasp jurm par
ha.nstaa to hogaa aap bhii yazdaa.n kabhii kabhii
Abdul Hamid Adam
Sher
Shibli Nomani
Sher
aaj insaa.n ne bhulaa Daale hai.n yazdaa.n ke karam
ham ne to zulm bhii ehsaan tire jaane hai.n
Hameed Jazib
Sher
subuu uThaa ki ye naazuk maqaam hai saaqii
na ahrman hai na yazdaa.n hai dekhiye kyaa ho
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
ik janam ke pyaase bhii sair ho.n to ham jaane.n
yuu.n to rahmat-e-yazdaa.n chaar-suu barastii hai
Hanif Fauq
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
isii liye to yahaa.n ab bhii ajnabii huu.n mai.n
tamaam log farishte hai.n aadmii huu.n mai.n
Bashir Badr
Sher
kaun aa.egaa yahaa.n ko.ii na aayaa hogaa
meraa darvaaza havaa.o.n ne hilaayaa hogaa
Kaif Bhopali
Sher
yahaa.n kisii ko bhii kuchh hasb-e-aarzuu na milaa
kisii ko ham na mile aur ham ko tuu na milaa