SEARCH RESULTS
Showing search results for "zabaan"
Sher MATCHES FOR "zabaan"
Sher
tire jamaal kii tasviir khii.nch duu.n lekin
zabaa.n me.n aa.nkh nahii.n aa.nkh me.n zabaan nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
urdu hai jis kaa naam hamii.n jaante hai.n 'daaG'
hindostaa.n me.n dhuum hamaarii zabaa.n kii hai
Dagh Dehlvi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Ibn e Insha
Sher
mirii zabaan ke mausam badalte rahte hai.n
mai.n aadmii huu.n miraa e'tibaar mat karnaa
Asim Wasti
Sher
zabaa.n KHaamosh magar nazro.n me.n ujaalaa dekhaa
us kaa iz.haar-e-mohabbat bhii niraalaa dekhaa
Tauqeer Ahmad
Sher
jaaduu hai yaa tilism tumhaarii zabaan me.n
tum jhuuT kah rahe the mujhe e'tibaar thaa
Bekhud Dehlvi
Sher
zabaa.n hamaarii na samjhaa yahaa.n ko.ii 'majruuh'
ham ajnabii kii tarah apne hii vatan me.n rahe
Majrooh Sultanpuri
Sher
hotii nahii.n qubuul du.aa tark-e-ishq kii
dil chaahtaa na ho to zabaa.n me.n asar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
mil ga.e the ek baar us ke jo mere lab se lab
'umr bhar ho.nTo.n pe apne mai.n zabaa.n pheraa kiyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
bajaa kahe jise aalam use bajaa samjho
zabaan-e-KHalq ko naqqaara-e-KHudaa samjho
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
kis kis kii zabaa.n rokne jaa.uu.n tirii KHaatir
kis kis kii tabaahii me.n tiraa haath nahii.n hai
Ehsan Danish
Sher
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho