SEARCH RESULTS
Showing search results for "zabaan"
Ghazal MATCHES FOR "zabaan"
Ghazal
ye kyaa azaab hai sab apne aap me.n gum hai.n
zabaa.n milii hai magar ham-zabaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Ghazal
ik shaKHs kar rahaa hai abhii tak vafaa kaa zikr
kaash us zabaa.n-daraaz kaa mu.nh noch le ko.ii
Jaun Eliya
Ghazal
jo ik KHudaa nahii.n miltaa to itnaa maatam kyuu.n
yahaa.n to ko.ii miraa ham-zabaa.n nahii.n miltaa
Kaifi Azmi
Ghazal
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Ghazal
tumhe.n pataa to chale be-zabaan chiiz kaa dukh
mai.n ab charaaG kii lau hii nahii.n banaa.uu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
maanind-e-KHaama terii zabaa.n par hai harf-e-Gair
begaana shai pe naazish-e-bejaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Ghazal
vahii ik KHamosh naGma hai 'shakiil' jaan-e-hastii
jo zabaan par na aa.e jo kalaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Ghazal
zabaan-e-KHaar se niklii sadaa-e-bismillaah
junuu.n ko jab sar-e-shoriida par savaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
pattharo.n me.n bhii zabaa.n hotii hai dil hote hai.n
apne ghar ke dar-o-diivaar sajaa kar dekho
Nida Fazli
Ghazal
yahii vo shahr jo mere labo.n se boltaa thaa
yahii vo shahr jo merii zabaan dekhtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
Siraj Aurangabadi
Ghazal
merii zabaa.n pe shikva-e-ahl-e-sitam nahii.n
mujh ko jagaa diyaa yahii ehsaan kam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
Munawwar Rana
Ghazal
payaambar na mayassar hu.aa to KHuub hu.aa
zabaan-e-Gair se kyaa sharh-e-aarzuu karte