SEARCH RESULTS
Showing search results for "zad"
Sher MATCHES FOR "zad"
Sher
sabaq milaa hai ye meraaj-e-mustafaa se mujhe
ki aalam-e-bashariiyat kii zad me.n hai garduu.n
Allama Iqbal
Sher
hai.n pattharo.n kii zad pe tumhaarii galii me.n ham
kyaa aa.e the yahaa.n isii barsaat ke liye
Anwar Shuoor
Sher
dil ek aur hazaar aazmaa.ishe.n Gam kii
diyaa jalaa to thaa lekin havaa kii zad par thaa
Mushfiq Khwaja
Sher
ek musht-e-KHaak aur vo bhii havaa kii zad me.n hai
zindagii kii bebasii kaa isti.aara dekhnaa
Parveen Shakir
Sher
vaqt-e-ruKHsat tirii aa.nkho.n kaa vo jhuk saa jaanaa
ik musaafir ke liye zaad-e-safar hai ai dost
Unknown
Sher
Bashar Nawaz
Sher
ye jo ham log hai.n ehsaas me.n jalte hu.e log
ham zamii.n-zaad na hote to sitaare hote
Wahid Ejaz Meer
Sher
'zafar' zamii.n-zaad the zamii.n se hii kaam rakkhaa
jo aasmaanii the aasmaano.n me.n rah ga.e hai.n
Zafar Iqbal
Sher
tuufaan kii zad me.n the KHayaalo.n ke safiine
mai.n ulTaa samundar kii taraf bhaag rahaa thaa
Aftab Shamsi
Sher
ab ban ke falak-zaad dikhaate hai.n hame.n aa.nkh
zarre vahii kal jin ko uchhaalaa thaa hamii.n ne
Anand Narayan Mulla
Sher
bastiyo.n me.n hone ko haadse bhii hote hai.n
pattharo.n kii zad par kuchh aa.ine bhii hote hai.n
Ghulam Rabbani Taban
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
piyaa kii yaad suu.n piitaa huu.n mai.n mai
hamaaraa haal kyaa jaane.nge sukh-zaad
Quli Qutub Shah
Sher
suuraj cha.Dhaa to phir bhii vahii log zad me.n the
shab bhar jo intizaar-e-sahar dekhte rahe