aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "destruction"
ko.ii haiko.ii baGdaad kii fariyaad suntaa haiko.ii hogaa jise aavaaz aatii hokisii dushman ke Taapo.n kiidhamaako.n kiiiraaqii kokh ko yuu.n rau.ndte hai.ntank dushman keki zaKHm KHuun thuukne lage baGdaadii badan kefuraat-o-dajla ke paanii ko kis ne KHaak kar Daalaaki dushman ne mirii jannat ko bhii naapaak kar Daalaaalf-lailaa shahzaadii ke kap.De phaa.D Daale hai.nfara.ngii ne mire bachpan ke qisse phaa.D Daale hai.nbadan jalte hu.e bachcho.n kii ye bujhtii hu.ii aa.nkhe.niraaqii aasmaa.n se sar uThaa kar bas yahii puuchhe.nabaabiile.n utartii kyuu.n nahii.n dikhtii.n zamiino.n parhamaare dushmano.n ke sard siino.n parvo bachche jaante kab hai.nabaabiile.n shahr se duur apne gho.nslo.n me.nsair ho kar nii.nd me.n gum hai.nvo bachche jaante kab hai.nabaabiile.n abaabiile.n nahii.n hai.nmai.n aur tum hai.nvo bachche jaante kab hai.nki un ke KHuun ke qatre hamaarii sarhado.n takaate aate suukh jaate hai.nhamaarii had hai aur sarhad bhii hai haakim ke hukm seKHudaa kaa hukm hai chhoTaa yahaa.n zaalim ke hukm sesharaabo.n me.n Dubo dii hai.n mire haakim ne shamshiire.njilaa dii hai.n sabhii aabaa kii tasviire.nmusalmaano.n kii taqdiire.nmire bachchomire baGdaad ke siine pe pa.De adh-mare bachchoko.ii iisaa na aa.egaa masiihaa.ii ko.ii le kartumhaarii ham se jo ummiid haivo be-samar haihamaarii apnii zamii.n haihamaaraa apnaa bhii ghar haitumhaarii aas andhii hai tumhaaraa KHvaab kaalaa haihamaare daur kii mariyam ne iisaa maar Daalaa hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books