cigareteñ chaa.e dhuāñ raat ga.e tak bahseñ
aur koī phuul sā āñchal kahīñ nam hotā hai
cigareten chae dhuan raat gae tak bahsen
aur koi phul sa aanchal kahin nam hota hai
hammām ke ā.īne meñ shab Duub rahī thī
cigarette se na.e din kā dhuāñ phail rahā thā
hammam ke aaine mein shab Dub rahi thi
cigarette se nae din ka dhuan phail raha tha
kamre meñ phailtā rahā cigarette kā dhuāñ
maiñ band khiḌkiyoñ kī taraf dekhtā rahā
kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan
main band khiDkiyon ki taraf dekhta raha
hue ḳhatm cigarette ab kyā kareñ ham
hai pichhlā pahar raat ke do baje haiñ
hue KHatm cigarette ab kya karen hum
hai pichhla pahar raat ke do baje hain
mujh se mat bolo maiñ aaj bharā baiThā huuñ
cigarette ke donoñ paikeT bilkul ḳhālī haiñ
mujh se mat bolo main aaj bhara baiTha hun
cigarette ke donon paikeT bilkul KHali hain
cigarette jise sulagtā huā koī chhoḌ de
us kā dhuāñ huuñ aur pareshāñ dhuāñ huuñ maiñ
cigarette jise sulagta hua koi chhoD de
us ka dhuan hun aur pareshan dhuan hun main
ab mā-hasal hayāt kā bas ye hai ai 'salām'
cigarette jalā.ī sher kahe shādmāñ hue
ab ma-hasal hayat ka bas ye hai ai 'salam'
cigarette jalai sher kahe shadman hue
dhuāñ cigarette kā botal kā nasha sab dushman-e-jāñ haiñ
koī kahtā hai apne haath se ye talḳhiyāñ rakh do
dhuan cigarette ka botal ka nasha sab dushman-e-jaan hain
koi kahta hai apne hath se ye talKHiyan rakh do
jaltī huī cigarette bujhā.ī nahīñ maiñ ne
jiine ke liye aur sahārā bhī nahīñ thā
jalti hui cigarette bujhai nahin main ne
jine ke liye aur sahaara bhi nahin tha