Sher on Mirza Ghalib
Ghalib? Who is not aware
of this great icon of Urdu poetry? He was quite a presence during his own times and has remained to be so ever since. Poets have written under his influence and the readers have lived his works in real terms. Many poets have paid their tributes to Ghalib and have considered him as the master poet and craftsman. Here are some verses that acknowledge his great worth.
ġhālib aur mīrzā 'yagānā' kā
aaj kyā faisla kare koī
ghaalib aur mirza 'yagana' ka
aaj kya faisla kare koi
qismat ke bāzār se bas ik chiiz hī to le sakte the
tum ne taaj uThāyā maiñ ne 'ġhālib' kā dīvān liyā
qismat ke bazar se bas ek chiz hi to le sakte the
tum ne taj uThaya main ne 'ghaalib' ka diwan liya
ham ḳhud bhī hue nādim jab harf-e-duā niklā
samjhe the jise patthar vo shaḳhs ḳhudā niklā
hum KHud bhi hue nadim jab harf-e-dua nikla
samjhe the jise patthar wo shaKHs KHuda nikla
vo tabassum hai ki 'ġhālib' kī tarah-dār ġhazal
der tak us kī balāġhat ko paḌhā karte haiñ
wo tabassum hai ki 'ghaalib' ki tarah-dar ghazal
der tak us ki balaghat ko paDha karte hain
'arrīb' dekho na itrāo chand sheroñ par
ġhazal vo fan hai ki 'ġhālib' ko tum salām karo
'arrib' dekho na itrao chand sheron par
ghazal wo fan hai ki 'ghaalib' ko tum salam karo
'sāz' jab khulā ham par sher koī 'ġhālib' kā
ham ne goyā bātin kā ik surāġh sā paayā
'saz' jab khula hum par sher koi 'ghaalib' ka
hum ne goya baatin ka ek suragh sa paya
'ġhālib' vo shaḳhs thā hama-dāñ jis ke faiz se
ham se hazār hech-madāñ nāmvar hue
'ghaalib' wo shaKHs tha hama-dan jis ke faiz se
hum se hazar hech-madan namwar hue
haamī bhī na the munkir-e-'ġhālib' bhī nahīñ the
ham ahl-e-tazabzub kisī jānib bhī nahīñ the
hami bhi na the munkir-e-'ghaalib' bhi nahin the
hum ahl-e-tazabzub kisi jaanib bhi nahin the
tum ko da.avā hai suḳhan-fahmī kā
jaao 'ġhālib' ke taraf-dār bano
tum ko dawa hai suKHan-fahmi ka
jao 'ghaalib' ke taraf-dar bano
'hālī' suḳhan meñ 'sheftā' se mustafīd hai
'ġhālib' kā mo'taqid hai muqallid hai 'mīr' kā
'haali' suKHan mein 'shefta' se mustafid hai
'ghaalib' ka mo'taqid hai muqallid hai 'mir' ka
-
Tag : Meer Taqi Meer