sunā hai shahar meñ zaḳhmī diloñ kā mela hai
chaleñge ham bhī magar pairahan rafū kar ke
suna hai shahar mein zaKHmi dilon ka mela hai
chalenge hum bhi magar pairahan rafu kar ke
-
Tag : Dil
is taraf se guzre the qāfile bahāroñ ke
aaj tak sulagte haiñ zaḳhm rahguzāroñ ke
is taraf se guzre the qafile bahaaron ke
aaj tak sulagte hain zaKHm rahguzaron ke
-
Tag : Bahaar
ḳhāmoshī ke nāḳhun se chhil jaayā karte haiñ
koī phir in zaḳhmoñ par āvāzeñ maltā hai
KHamoshi ke naKHun se chhil jaya karte hain
koi phir in zaKHmon par aawazen malta hai
-
Tags : Awazand 1 more
shāḳh-e-mizhgāñ pe mahakne lage zaḳhmoñ ke gulāb
pichhle mausam kī mulāqāt kī bū zinda hai
shaKH-e-mizhgan pe mahakne lage zaKHmon ke gulab
pichhle mausam ki mulaqat ki bu zinda hai
-
Tag : Mulaqat
maiñ tere hadiya-e-furqat pe kaise nāzāñ huuñ
mirī jabīñ pe tirā zaḳhm tak hasīn nahīñ
main tere hadiya-e-furqat pe kaise nazan hun
meri jabin pe tera zaKHm tak hasin nahin