Best Success Shayari
ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle
ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai
KHudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle
KHuda bande se KHud puchhe bata teri raza kya hai
-
Tags : Famous shayariand 4 more
ham ko miTā sake ye zamāne meñ dam nahīñ
ham se zamāna ḳhud hai zamāne se ham nahīñ
hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin
hum se zamana KHud hai zamane se hum nahin
-
Tags : Attitudeand 4 more
bahut ġhurūr hai dariyā ko apne hone par
jo merī pyaas se uljhe to dhajjiyāñ uḌ jaa.eñ
bahut ghurur hai dariya ko apne hone par
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan uD jaen
-
Tags : Dariyaand 1 more
aa.ina dekh kar ġhurūr fuzūl
baat vo kar jo dūsrā na kare
aaina dekh kar ghurur fuzul
baat wo kar jo dusra na kare
sar ko na pheñk apne falak par ġhurūr se
tū ḳhaak se banā hai tirā ghar zamīn hai
sar ko na phenk apne falak par ghurur se
tu KHak se bana hai tera ghar zamin hai
ham aur log haiñ ham se bahut ġhurūr na kar
kalīm thā jo tirā naaz sah gayā hogā
hum aur log hain hum se bahut ghurur na kar
kalim tha jo tera naz sah gaya hoga
zāhid sambhal ġhurūr ḳhudā ko nahīñ pasand
farsh-e-zamīñ pe paañv dimāġh āsmān par
zahid sambhal ghurur KHuda ko nahin pasand
farsh-e-zamin pe panw dimagh aasman par
use ajab thā ġhurūr-e-shaguft-e-ruḳhsārī
bahār-e-gul ko bahut be-hunar kahā us ne
use ajab tha ghurur-e-shaguft-e-ruKHsari
bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kaha us ne
ġhurūr se jo zamīñ par qadam nahīñ rakhtī
ye kis galī se nasīm-e-bahār aatī hai
ghurur se jo zamin par qadam nahin rakhti
ye kis gali se nasim-e-bahaar aati hai
tirā ġhurūr jhuk ke jab milā mire vajūd se
na jaane merī kamtarī kā chehra kyuuñ utar gayā
tera ghurur jhuk ke jab mila mere wajud se
na jaane meri kamtari ka chehra kyun utar gaya