Jigar Moradabadi: ek rumaani shayar
Jigar Moradabadi is a prevalent poet of the Urdu language whose poetry is filled with themes of beauty, love, and romance. Read this collection of his selected couplets.
terī āñkhoñ kā kuchh qusūr nahīñ
haañ mujhī ko ḳharāb honā thā
teri aankhon ka kuchh qusur nahin
han mujhi ko KHarab hona tha
-
Tags : Eyesand 1 more
tire jamāl kī tasvīr khīñch duuñ lekin
zabāñ meñ aañkh nahīñ aañkh meñ zabān nahīñ
tere jamal ki taswir khinch dun lekin
zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin
merī nigāh-e-shauq bhī kuchh kam nahīñ magar
phir bhī tirā shabāb tirā hī shabāb hai
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tera shabab tera hi shabab hai
-
Tags : Famous shayariand 2 more
us ne apnā banā ke chhoḌ diyā
kyā asīrī hai kyā rihā.ī hai
She made me hers, away then sent
What's freedom? What's imprisonment?
us ne apna bana ke chhoD diya
kya asiri hai kya rihai hai
She made me hers, away then sent
What's freedom? What's imprisonment?
ābād agar na dil ho to barbād kījiye
gulshan na ban sake to bayābāñ banā.iye
aabaad agar na dil ho to barbaad kijiye
gulshan na ban sake to bayaban banaiye
-
Tag : Motivational
sunā hai hashr meñ har aañkh use be-parda dekhegī
mujhe Dar hai na tauhīn-e-jamāl-e-yār ho jaa.e
suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi
mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jae
-
Tags : Deedarand 1 more
kabhī un mad-bharī āñkhoñ se piyā thā ik jaam
aaj tak hosh nahīñ hosh nahīñ hosh nahīñ
kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ek jam
aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin
vo chiiz kahte haiñ firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhī kabhī tirī āñkhoñ meñ paa.ī jaatī hai
wo chiz kahte hain firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhi kabhi teri aankhon mein pai jati hai
kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahe
jab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe
she was in my embrace
I myself was lost as long she stayed with me
kuchh is ada se aaj wo pahlu-nashin rahe
jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe
she was in my embrace
I myself was lost as long she stayed with me
mohabbat meñ ham to jiye haiñ jiyeñge
vo hoñge koī aur mar jaane vaale
mohabbat mein hum to jiye hain jiyenge
wo honge koi aur mar jaane wale
-
Tag : Mohabbat
kūcha-e-ishq meñ nikal aayā
jis ko ḳhāna-ḳharāb honā thā
kucha-e-ishq mein nikal aaya
jis ko KHana-KHarab hona tha
-
Tags : Ishqand 1 more
maiñ jahāñ huuñ tire ḳhayāl meñ huuñ
tū jahāñ hai mirī nigāh meñ hai
main jahan hun tere KHayal mein hun
tu jahan hai meri nigah mein hai
lākhoñ meñ intiḳhāb ke qābil banā diyā
jis dil ko tum ne dekh liyā dil banā diyā
lakhon mein intiKHab ke qabil bana diya
jis dil ko tum ne dekh liya dil bana diya
-
Tag : Dil
vo the na mujh se duur na maiñ un se duur thā
aatā na thā nazar to nazar kā qusūr thā
wo the na mujh se dur na main un se dur tha
aata na tha nazar to nazar ka qusur tha
laboñ pe mauj-e-tabassum nigah meñ barq-e-ġhazab
koī batā.e ye andāz-e-barhamī kyā hai
labon pe mauj-e-tabassum nigah mein barq-e-ghazab
koi batae ye andaz-e-barhami kya hai
pī rahā huuñ āñkhoñ āñkhoñ meñ sharāb
ab na shīsha hai na koī jaam hai
pi raha hun aankhon aankhon mein sharab
ab na shisha hai na koi jam hai
āñkhoñ meñ nuur jism meñ ban kar vo jaañ rahe
ya.anī hamīñ meñ rah ke vo ham se nihāñ rahe
aankhon mein nur jism mein ban kar wo jaan rahe
yani hamin mein rah ke wo hum se nihan rahe
kyā ḳhabar thī ḳhalish-e-nāz na jiine degī
ye tirī pyaar kī āvāz na jiine degī
kya KHabar thi KHalish-e-naz na jine degi
ye teri pyar ki aawaz na jine degi
nigāh-e-yās mirī kaam kar ga.ī apnā
rulā ke uTThe the vo muskurā ke baiTh ga.e
nigah-e-yas meri kaam kar gai apna
rula ke uTThe the wo muskura ke baiTh gae
nashsha-e-husn ko is tarah utarte dekhā
aib par apne koī jaise pashemāñ ho jaa.e
nashsha-e-husn ko is tarah utarte dekha
aib par apne koi jaise pasheman ho jae