aadmii ke baare me.n
ye jis ke mu.nh par taalaa lagaa diyaa gayaa hai
jise maut kii chaTTaan se zanjiir kar diyaa gayaa hai
jise kahaa jaa rahaa hai tum qaatil ho
jis kii roTii chhiin lii ga.ii
jis ke kap.De utaar liye ga.e
jise mahruum kar diyaa gayaa shanaaKHt se
aur phe.nk diyaa gayaa maut kii koTharii me.n
jis kii fard-e-jurm me.n likhaa gayaa luTeraa
jis par tamaam bandar-gaahe.n band kar dii ga.ii.n
jis kii mahbuuba ko aGvaa kar liyaa gayaa
jis se kahaa gayaa tum ho panaah-giir
KHuun-aaluud aa.nkho.n aur haatho.n suno
raat guzar jaatii hai
na to hamesha rahtii hai.n hiraasatii koThriyaa.n
na hii zanjiiro.n kii ka.Diyaa.n
nero mar gayaa
lekin rom vahii.n hai jahaa.n thaa
rom ne ye jang apnii aa.nkho.n se la.Dii hogii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.