ai mere aabaa-o-ajdaad
ai mere aabaa ajdaad
mar mar kar jiine vaalo
kyaa zaruurii hai bhalaa
hame.n is chhalnii me.n chhaan.naa
ki hamaarii ha.nsii chhan kar dozaKH kii aag me.n gir jaa.egii
aur uupar kuchh aa.nsuu rah jaa.e.nge
ai beTo naujavaano
tapte khapte
zaruurii hai daraKHto.n kaa is darvaaze se guzarnaa
jahaa.n se guzarte hu.e
vo pe.D na rahe.n
aur ban jaa.e.n taabuut mez aur kursiyaa.n
ban jaa.e.n darvaaze
ai mere aabaa-o-ajdaad
mar mar kar jiine vaalo
kyaa zaruurii hai bhalaa
tumhaaraa mar mar kar jiinaa
dilo.n me.n bas kar hamaaraa surKH lahuu piinaa
beTo naujavaano
tapte khapte
ham to muddato.n barso.n se mar chuke hai.n
ham to apnii chitaa.o.n me.n jalne se pahle hii
sard ho ga.e
ham zinda nahii.n hai.n
ye to tumhaare zehno.n me.n hamaarii ko.ii yaad hai
ham nahii.n bolte
aise hii ko.ii yaad kii tarang se
lahu me.n tumhaare shuuktii phirtii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.