be-shak hai raat
be-shak hai raat ek ghuTii hu.ii raat
aur miTTii ke chehre kaa rang u.Daa hu.aa
havaa ghaTaa.o.n kii naujavaan beTii pahaa.D se utar kar
mujh par dau.Dii chalii aa rahii hai
be-shak raat kasii suuje hu.e badan ke maanind aur havaa garam rukii hu.ii
isii liye ko.ii bhuulaa hu.aa musaafir apnaa raasta nahii.n paa saktaa
ye taviil bayaabaan jis kaa badan phu.nk rahaa hai
apnii tunuk qabr me.n pa.De hu.e marde ke maanind hai
yaa jaise meraa hii dil jhulsaa hu.aa dil
mere hii thake hu.e jism me.n jo buKHaar kii shiddat se jal rahaa hai
be-shak raat hai be-shak

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.