KHvaab
har shaKHs ko nahii.n aate
be-jaan baaruud ke zarro.n me.n
so.ii hu.ii aag ko KHvaab nahii.n aate
bure kaam ke liye uThii hu.ii hathelii par aa.e pasiine ko
KHvaab nahii.n aate
mallaaho.n se ruuTh chuke samundaro.n ko
KHvaab nahii.n aate
shelfo.n me.n pa.Dii taariiKH kii kitaabo.n ko
KHvaab nahii.n aate
KHvaabo.n ke liye laazmii hai
raushan dilo.n kaa honaa
KHvaabo.n ke liye nii.nd kii nazar
honaa laazim hai
KHvaab is liye
har shaKHs ko nahii.n aate
KHvaab
har shaKHs ko nahii.n aate
be-jaan baaruud ke zarro.n me.n
so.ii hu.ii aag ko KHvaab nahii.n aate
bure kaam ke liye uThii hu.ii hathelii par aa.e pasiine ko
KHvaab nahii.n aate
mallaaho.n se ruuTh chuke samundaro.n ko
KHvaab nahii.n aate
shelfo.n me.n pa.Dii taariiKH kii kitaabo.n ko
KHvaab nahii.n aate
KHvaabo.n ke liye laazmii hai
raushan dilo.n kaa honaa
KHvaabo.n ke liye nii.nd kii nazar
honaa laazim hai
KHvaab is liye
har shaKHs ko nahii.n aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.