Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

'mar rahii hai merii zabaan' se iqtibaas

Translated By: Akash Arsh

Surjit Patar

Surjit Patar

'mar rahii hai merii zabaan' se iqtibaas

Surjit Patar

MORE BYSurjit Patar

    mar rahii hai merii zabaan

    kyo.n ki zinda rahnaa chaahte hai.n

    merii zabaan ke log

    zinda rahnaa chaahte hai.n

    merii zabaan ke log

    is shart pe bhii

    ki zabaan martii hai to mar jaa.e

    kyaa aadmii kaa zinda rahnaa

    ziyaada zaruurii hai

    yaa zabaan kaa?

    haa.n jaantaa huu.n

    aap kahe.nge

    is shart pe jo aadmii zinda rahegaa

    vo zinda to hogaa

    magar kyaa vo aadmii hogaa?

    aap mujhe jazbaatii karne kii koshish na karo

    aap KHud bataa.o

    ab jab

    daane daane ke uupar

    khaane vaale kaa naam bhii

    aap kaa KHudaa a.ngrezii me.n hii likhtaa hai

    to kaun se be-rahm vaaldain chaahe.nge

    ki un kaa bachcha

    ek Duub rahii zabaan ke safiine pe baiThaa rahe

    jiitaa rahe meraa bachcha

    martii hai to mar jaa.e

    aap kii buu.Dhii zabaan!

    mar rahii hai merii zabaan

    kyo.n ki zinda rahnaa chaahte hai.n

    merii zabaan ke log

    zinda rahnaa chaahte hai.n

    merii zabaan ke log

    is shart pe bhii

    ki zabaan martii hai to mar jaa.e

    kyaa aadmii kaa zinda rahnaa

    ziyaada zaruurii hai

    yaa zabaan kaa?

    haa.n jaantaa huu.n

    aap kahe.nge

    is shart pe jo aadmii zinda rahegaa

    vo zinda to hogaa

    magar kyaa vo aadmii hogaa?

    aap mujhe jazbaatii karne kii koshish na karo

    aap KHud bataa.o

    ab jab

    daane daane ke uupar

    khaane vaale kaa naam bhii

    aap kaa KHudaa a.ngrezii me.n hii likhtaa hai

    to kaun se be-rahm vaaldain chaahe.nge

    ki un kaa bachcha

    ek Duub rahii zabaan ke safiine pe baiThaa rahe

    jiitaa rahe meraa bachcha

    martii hai to mar jaa.e

    aap kii buu.Dhii zabaan!

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now