ka.ii baras baad achaanak ek mulaaqaat
aur dono.n kii hastii ik nazm kii tarah kaa.npii
saamne puurii raat thii
magar aadhii nazm ek goshe me.n aavezaa.n rahii
sub.h hu.ii to ham phaTe hu.e kaaGaz ke Tuk.Do.n kii tarah mile
mai.n ne apne haath me.n us kaa haath thaamaa
us ne apnii baa.nh me.n merii baa.nh Daalii
phir ham dono.n censor kii tarah ha.nse
aur kaaGaz ko ThanDii mez par rakh kar
saarii nazm par ek lakiir pher dii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.