chho.De hu.e ghar kaa giit
lo ab alvidaa'
mere ghar
kyaa maa'luum ham kab mile.nge
kal yaa kisii aur din
kuchh dino.n baad yaa bahut dino.n baad
ek aur safar darpesh hai
lekin is dafa hii tujh se zaruur kahuu.ngaa
ki ham ne tere patthar ke siine ko
bahut chaahaa hai
tuu ne kitnii saKHaavat se
baavarchii-KHaane kii aag se garmii se navaazaa hai
terii chhat
jis se baarish kii buu.nde.n
a.nguuro.n kii tarah Tapaktii hai.n
aasmaan se girtii hu.ii mausiiqii
jab ham terii khi.Dkiyaa.n band karte hai.n
dam gho.nTne vaalii be-vaqt raat
tere har kamre par chhaa jaa.egii
a.ndhere me.n Duubaa hu.aa
tuu phir bhii jiitaa jaagtaa rahtaa hai
vaqt tere sar par ma.nDlaataa rahtaa hai
aur cell kii giilaahaT aahista aahista terii ruuh ko khaatii chalii jaatii hai
kisii vaqt
ko.ii chuuhaa kuchh katartaa hai kaaGaz sarakte hai.n
ek malfuuf sarsaraahaT
ek bhaTkaa hu.aa kii.Daa
thak kar kisii diivaar ke saath lag jaataa hai
aur jab baarish aatii hai
to is tanhaa.ii me.n
chhat ke Tapakne kii aavaaz
insaanii aavaaz kii tarah lagtii hai
jaise ko.ii ro rahaa ho
faqat saayo.n ko hii
muqaffal gharo.n ke raaz kaa 'alam hai
yaa aavaara havaa ko
lo ab alvidaa'
mere ghar
kyaa maa'luum ham kab mile.nge
kal yaa kisii aur din
kuchh dino.n baad yaa bahut dino.n baad
ek aur safar darpesh hai
lekin is dafa hii tujh se zaruur kahuu.ngaa
ki ham ne tere patthar ke siine ko
bahut chaahaa hai
tuu ne kitnii saKHaavat se
baavarchii-KHaane kii aag se garmii se navaazaa hai
terii chhat
jis se baarish kii buu.nde.n
a.nguuro.n kii tarah Tapaktii hai.n
aasmaan se girtii hu.ii mausiiqii
jab ham terii khi.Dkiyaa.n band karte hai.n
dam gho.nTne vaalii be-vaqt raat
tere har kamre par chhaa jaa.egii
a.ndhere me.n Duubaa hu.aa
tuu phir bhii jiitaa jaagtaa rahtaa hai
vaqt tere sar par ma.nDlaataa rahtaa hai
aur cell kii giilaahaT aahista aahista terii ruuh ko khaatii chalii jaatii hai
kisii vaqt
ko.ii chuuhaa kuchh katartaa hai kaaGaz sarakte hai.n
ek malfuuf sarsaraahaT
ek bhaTkaa hu.aa kii.Daa
thak kar kisii diivaar ke saath lag jaataa hai
aur jab baarish aatii hai
to is tanhaa.ii me.n
chhat ke Tapakne kii aavaaz
insaanii aavaaz kii tarah lagtii hai
jaise ko.ii ro rahaa ho
faqat saayo.n ko hii
muqaffal gharo.n ke raaz kaa 'alam hai
yaa aavaara havaa ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.