ek KHauf
jis din mai.n maruu.ngaa
apnii tamaam pasandiida kitaabo.n ko apne saath le jaa.u.ngaa
apnii qabr ko un tamaam dosto.n kii tasviiro.n se pur kar duu.ngaa jinhe.n mai.n pasand kartaa huu.n
aur is baat se KHush rahuu.ngaa ki mere paas ek chhoTaa saa kamra hai
mustaqbil ke KHauf ke baGair
mai.n laTe jaa.u.ngaa aur cigarette sulgaa.uu.ngaa
aur ro.uu.ngaa un tamaam la.Dkiyo.n ke liye
jinhe.n mai.n pasand kartaa thaa aur baa.nho.n me.n bhar lenaa chaahtaa thaa
lekin har KHushii ke andar
ek ba.Daa KHauf chhupaa hu.aa hai
KHauf is baat kaa
ki sub.h-savere
ko.ii mere shaane ko jhi.njho.De
aur kahe
saabiir، uTho
kaam par chalte hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.