ek savaal
bhagvaan tum ne jug jug me.n baar baar duut bheje hai.n
be-raham sansaar me.n
vo kah ga.e sab ko mu'aaf kar do kah ga.e pyaar karo
dil se dushmanii ke zahr ko nikaal kar use KHatm kar do
vo 'aziim hai.n yaad rakhne ke qaabil hai.n vo phir bhii baahar ke darvaaze se
aaj bure dino.n me.n unhe.n lauTaa diyaa mai.n ne ek salaam-e-raa.egaa.n ke saath
mai.n ne dekhaa ki tashaddud-e-pinhaa.n ne shab-e-kiina ke saa.e me.n
bekas par hamla kiyaa hai
mai.n ne dekhaa hai taaqat-var shaKHs ke naa-qaabil-e-tadaaruk jurm se
insaaf kii aavaaz chup-chaap tanhaa.ii me.n rotii hai
mai.n ne dekhaa naujavaan baalak paagalo.n kii tarah bhaagtaa hai
kitne karb-o-dard sah kar jaan dii patthar par naahaq sar paTak kar
meraa galaa aaj ru.ndh gayaa hai merii baa.nsurii kaa sa.ngiit aaj kho gayaa hai
a.ndherii raat ke zindaa.n ne
Gaa.eb kar diyaa hai mere sansaar ko bure KHvaab ke niiche dabaa kar
isii liye to tum se puuchhtaa huu.n aa.nkho.n me.n aa.nsuu bhar ke
jo log tumhaarii havaa ko zahriilaa banaa rahe hai.n tumhaarii raushnii ko bujhaa rahe hai.n
tum ne kyaa unhe.n mu'aaf kar diyaa hai tum ne kyaa unhe.n pyaar kiyaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.