mire pyaare yahaa.n the tum to mai.n ne ghar ko phuulo.n se sajaayaa thaa
mire pyaare nahii.n ho tum yahaa.n ab sej suunii hai
bichhaunaa sej par lipTaa rakhaa hai so nahii.n saktii
vo KHushbuu chho.D kar jis ko ga.e the aaj bhii mahsuus hotii hai
vo KHushbuu har gha.Dii rahtii hai mere paas lekin tum kahaa.n ho ai mire pyaare
mai.n ThanDe saa.ns bhartii huu.n
gire jaate hai.n patte Tahniyo.n se pe.D kii murjhaa ke dhartii par
mai.n rotii huu.n
harii maKHmal pe dhartii kii chamaktii os kii buu.nde.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.