Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gho.nghaa

K. Satchidanandan

gho.nghaa

K. Satchidanandan

MORE BYK. Satchidanandan

    kahaa.n chale

    tumhaaraa makaan tumhaarii pusht par

    aur chaukas tumhaarii nannhii nannhii mo.nchhe.n

    kaun saa muqaddas safar

    bhiigii lak.Dii par parvaan cha.Dhe

    kaa.ii ke gore mahbuub

    kaahil falsafii

    tum insaano.n kii ha.ngaama-parvar duniyaa kaa mazaaq u.Daane vaale

    ham jo dekhte hai.n kyaa vo tumhaaraa bairuun hai

    yaa tumhaaraa andaruun

    tum mazammat karte ho

    hamaare dangaa fasaad

    aur hamaarii sat.hii darja-bandii kii

    tum chimTe rahte ho hamaare roz-o-shab se

    aur hamaarii yaado.n se

    ibtidaa se intihaa tak

    lekin ham

    ham mujaama'at karte hai.n nihaayat 'ujlat me.n

    aur duniyaa ko badalne ke liye tag-o-dau me.n hai.n

    tum hame.n bataate ho ki vaqt Gair-mahduud hai

    aahista aahista tum sargoshii karte ho

    tumhaaraa lijlijaa intibaah

    nihaayat KHaamoshii se is duniyaa kii duhaa.ii detaa hai

    jise ham kho chuke hai.n

    kurra-e-arz jo gardish kartaa hai aahista aahista

    suuraj jo tuluu' hotaa hai aahista aahista

    chaa.nd jo zamiin ke gird chakkar lagaataa hai aahista aahista

    aahistagii se baarish

    aahistagii se mausiiqii

    aahistagii se zindagii

    aahistagii se maut

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now