halqa
ek la.Dkii ne ye puuchhaa hans kar
raaz is halqa-e-zarrii.n kaa hai kyaa
jis ne unglii ko mirii
is qadar saKHt dabaa rakkhaa hai
jis kii peshaanii par
is qadar taabish-o-raKHshandagii hai
mard hairaan hu.aa aur bolaa
halaqa-e-KHush-baKHtii
halqa-e-zindagii hai
vaqt guzraa
aur ik din zan-e-afsurda ne
halqa-e-zar pe nazar phir Daalii
aur dekhe vo shab-o-roz jo be-suud ga.e
sarf-e-ummiid-e-vafaa-e-shauhar
ro.ii 'aurat ke dareG
halqa-e-zar me.n hanuuz
vahii taabish vahii raKHshandagii hai
ye Gulaamii kaa hai halqa samjhii
halqa-e-burdagii-o-bandagii hai
ek la.Dkii ne ye puuchhaa hans kar
raaz is halqa-e-zarrii.n kaa hai kyaa
jis ne unglii ko mirii
is qadar saKHt dabaa rakkhaa hai
jis kii peshaanii par
is qadar taabish-o-raKHshandagii hai
mard hairaan hu.aa aur bolaa
halaqa-e-KHush-baKHtii
halqa-e-zindagii hai
vaqt guzraa
aur ik din zan-e-afsurda ne
halqa-e-zar pe nazar phir Daalii
aur dekhe vo shab-o-roz jo be-suud ga.e
sarf-e-ummiid-e-vafaa-e-shauhar
ro.ii 'aurat ke dareG
halqa-e-zar me.n hanuuz
vahii taabish vahii raKHshandagii hai
ye Gulaamii kaa hai halqa samjhii
halqa-e-burdagii-o-bandagii hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.