hazaaro.n parinde
hazaaro.n parinde
mere zehn ke qaidii
suntaa huu.n din raat me.n
dete hai.n duhaa.ii
rihaa.ii
rihaa.ii
ham chaahe jaa kar
kahii.n chhalnii ho jaa.e.n
hamaarii kaayaa se bahne lage.nge
KHuun ke favaare
ham chaahe jaa kar
kahii.n jhulas jaa.e.n
jal uThe.nge hamaare paro.n ke
reshmii kinaare
to bas jaane de ab
kahii.n bhii hame.n
terii qaid se to
behtar hai.n hamaare liye
shikaarii aur gosht-KHor qasaa.ii
jab pe.D thaa to
jab utre the ham
terii shaaKHo.n par
tab tuu ne kahaa thaa
u.Do aakaash me.n
jab thak jaa.o
mere paas aa.o
to phir tolo
aur havaa.o.n ke naam KHat likhte jaa.o
tuu hamaare hamesha ke liye
parvaaz karne se
patto.n ke suukhne
jha.Dne se Dartaa thaa
tuu ab pe.D se
pi.njraa ban gayaa hai
hazaaro.n parinde
mere zehn ke qaidii
suntaa huu.n din raat me.n
dete hai.n duhaa.ii
rihaa.ii
rihaa.ii
ham chaahe jaa kar
kahii.n chhalnii ho jaa.e.n
hamaarii kaayaa se bahne lage.nge
KHuun ke favaare
ham chaahe jaa kar
kahii.n jhulas jaa.e.n
jal uThe.nge hamaare paro.n ke
reshmii kinaare
to bas jaane de ab
kahii.n bhii hame.n
terii qaid se to
behtar hai.n hamaare liye
shikaarii aur gosht-KHor qasaa.ii
jab pe.D thaa to
jab utre the ham
terii shaaKHo.n par
tab tuu ne kahaa thaa
u.Do aakaash me.n
jab thak jaa.o
mere paas aa.o
to phir tolo
aur havaa.o.n ke naam KHat likhte jaa.o
tuu hamaare hamesha ke liye
parvaaz karne se
patto.n ke suukhne
jha.Dne se Dartaa thaa
tuu ab pe.D se
pi.njraa ban gayaa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.